Jagjit Singh: Top 10 Ghazal Song lyrics

Jagjit Singh: Top 10 Ghazal Song lyrics


Jagjit Singh Top 10 Ghazal Song lyrics
Jagjit Singh Top 10 Ghazal Song lyrics


#1

Jhuki Jhuki Si Nazar Bekarar Ghazal Song lyrics


Jhuki Jhuki see nazar bekaraar hai ki naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen

tu apne dil ki jawaan dhadkanon ko gin ke bataa
meri tarah teraa dil bekaraar hai ki naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen
Jhuki Jhuki see nazar...

wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hotee hain
us eik pal kaa tujhe intezaar hai ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen
Jhuki Jhuki see nazar...

teri umeed pe thukaraa rahaa hoon duniya ko
tujhe bhee apne pe ye aitabaar hain ki naheen.
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen
Jhuki Jhuki see nazar...

#2

Honton Se Chhoo Lo Tum Ghazal Song lyrics


Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm
Honton se chhoo lo tum Mera geet amar kar do |2|
Ban jaao meet mere
Meri prit amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
Na umr ki seema ho Na janm ka ho bandhan |2|
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
Nayi reet chalaakar tumYeh reet amar kar do |2|
Aakaash ka soonapan Mere tanha mann mein |2|
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do
Jag ne chheena mujhse Mujhe jo bhi laga pyaara |2|
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara
Tum haarke dil apna Meri jeet amar kar do |2|
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do

#3

Koi Yeh Kaise Bataye Ke Ghazal Song lyrics


koi ye kaise bataaye ke, wo tanahaa kyon hai
wo jo apanaa thaa wahee, aur kisee kaa kyon hai
yahee duniyaan hai to fir, ayesee ye duniyaan kyon hai

yahee hotaa hai to aakhir, yahee hotaa kyon hai?

ik zara haath badhaa de to, pakad le daaman
uske seene mein samaa jaaye, humaaree dhadkan
itni kurbat hain to phir, faaslaa itnaa kyon hai?

dil-e-barabaad se niklaa naheen, ab tak koee
ik loote ghar pe diyaa karataa hai, dastak koee
aas jo toot gayee;phir se; bandhaataa kyon hai?

tum masarrat kaa kaho yaa, ise ghum kaa rishtaa
kahate hain, pyaar kaa rishtaa hai janam kaa rishtaa
hai janam kaa jo ye rishtaa to, badalataa kyon hai?

#4

Pyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Ghazal Song lyrics


Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai

Naye parindo ko udne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai

Jism ki baat nahi thi, unke dil tak jaana tha
Jism ki baat nahi thi, unke dil tak jaana tha
Lambi doori, tay karne mein, waqt to lagta hai..
Lambi doori, tay karne mein, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla khat likhne mein, waqt to lagta hai

Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ho ya dori
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ho ya dori
Laakh kare koshish, khulne me, waqt to lagta hai..
Laakh kare koshish, khulne me, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai

Humne ilaaj-e zakhm-e dil to, dhoond liya lekin
Humne ilaaj-e, zakhme dil to, dhoond liya lekin..
Gahray zakhmo ko bharne mein, waqt to lagta hai..
Gahray zakhmo ko bharne mein, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Naye.. parindo ko udne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai

#5

Gham Ka Khazana Ghazal Song lyrics

Lata ji
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi |2|
Jagjit sing ji and Lata ji
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi

Lata ji
apne gham ko geet bana kar gaa lena |2|
raag puraana tera bhi hai mera bhi |2|
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Jagjit sing ji
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Lata ji
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Jagjit sing ji
dil deewana tera bhi hai mera bhi
Lata ji
dil deewana tera bhi hai mera bhi
Jagjit sing ji and Lata ji
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Lata ji
shahar mein galiyon galiyon jiska charcha hai |2|
woh afsaana tera bhi hai mera bhi
Jagjit sing ji
maikhane ki baat na kar waiz mujhse |2|
aana jaana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Lata ji
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
Jagjit sing ji and Lata ji
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

#6

Kon Kehta Hai Mohabbat Ki Zuban Hoti Hai Ghazal Song lyrics


Kaun kehta hai
Kaun kehta hai
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai
Ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai

Woh na aaye to satati hai khalish si dil ki
Woh na aaye to satati hai khalish si dil ki
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hai
Ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai

Rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare
Dil ko jo purnoor purnoor purnoor
Har nazarein mein yeh tasveer kahan hoti hain
Ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai

Zabt-e-saelaab-e-mohabbat ko kahan tak roke
Zabt-e-saelaab-e-mohabbat ko kahan tak roke
Dil mein jo baat ho aankho se ayaan hoti hain
Ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai

Zindagi ek sulgati si chita hai sahir
Sulagti si chita, sulagti si chita
Sulagti si chita
Zindagi ek sulgati si chita hai sahir
Shola banti hain na yeh bujh ke dhuaan hoti hain
Ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai


#7

Kabhi Yoon Bhi To Ho Ghazal Song lyrics


kabhi yuN bhi to ho |2|
dariyaa kaa saahil ho, poore chaaNd ki raat ho
aur tum aao
kabhi yuN bhi to ho |2|
pariyoN ki mahfil ho, koi tumhaari baat ho
aur tum aao
kabhi yuN bhi to ho |2|

kabhi yuN bhi to ho
ye naram mulaayam ThanDi havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren, tumhaari Khushboo churaayen
mere ghar le aayen
kabhi yuN bhi to ho |2|

sooni har mahfil ho, koi naa mere saath ho
aur tum aao
kabhi yuN bhi to ho |2|

kabhi yuN bhi to ho
ye baadal aisaa TooT ke barse
mere dil ki tarah milne ko, tumhaara dil bhi tarse
tum niklo ghar se
kabhi yuN bhi to ho |2|
tanhaai ho dil ho, booNde hoN barsaat ho aur tum aao
kabhi yuN bhi to ho |2|
dariyaa kaa saahil ho, poore chaaNd ki raat ho
aur tum aao
kabhi yuN bhi to ho |4|

#8

 Jab Saamne Tum Aa Jaate Ho Ghazal Song lyrics


Jagjit Singh ji
Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale
Ab to be-maut marenge mere marne wale

Asha ji
Dekhke tumko hosh mein aana bhool gaye
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye
Chorus: hm mm, hm mm mm mm 

Asha ji
 jab saamne tum
Chorus: hm mm, hm mm mm mm

Asha ji
Jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Chorus: hm mm, hm mm mm mm |2|

Asha ji
Chaaha tha yeh kahenge
Socha tha socha tha woh kahenge
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake
Bas dekha kiye unhein ham

Jagjit Singh ji
Dekh kar tumko yakeen hota hai |2|
Koi itna bhi haseen hota hai
Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai

Asha ji
jab saamne tum
Chorus: hm mm, hm mm mm mm
Ho jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Chorus: hm mm mm mm mm mm, hm mm mm mm mm
 ha haa haa haa, ho
Chorus: hm mm, hm mm mm mm |2|

Asha ji
Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana
De kar hansi labon ko, aankhon ko mar rulaana
Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke
Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke

Jagjit Singh ji
Bhool kar tumko na jee payenge |2|
Saath tum hogi jahan jayenge
Ham koi waqt nahin hain hamdam
Jab bulaaoge chale aayenge
Chorus: hm mm, hm mm mm mm |2|

Asha ji
 jab saamne tum
Chorus: hm mm, hm mm mm mm

Asha ji
Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Chorus: hm mm, hm mm mm mm |5|

#9

Koyi Fariyaad Tere Dil Main Ghazal Song lyrics


Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Jaanta Hoon Aapko Sahare Ki Zarurat Nahin
Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise
Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

#10

Main Bhool Jaaoon Tumhen Ghazal Song lyrics


main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai
main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai

magar bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN |2|
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin

yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahooN, kambaKt
bhulaa sakaa naa ye vo silsilaa jo thaa bhi nahin |2|

vo ek Khyaal jo aavaaz tak gayaa hi nahin
vo ek baat jo main kah nahin sakaa tumse

vo ek waqt jo ham mein kabhi rahaa hi nahin
mujhe hai yaad vo sab jo kabhi huaa hi nahin

agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye |2|
tumhen bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin |3|

Friends I hope you liked this Lyrics article, if you have enjoyed it, do not skimp in sharing it with your friends. Your cooperation inspires us.

Thanks, Lyricsgyan

Post a Comment

0 Comments